Search AbideInSelf

Total Pageviews

Thursday, April 25, 2013

Gham Hai Ya Khushi Hai Tu…Meri Zindagi hai Tu

Satguru Nisargadatta Maharaj, Prakat-diwas

Gham hai yaa Khushii hai tuu
merii zindagii hai tuu
(Be it sorrow or joy,
You are my Life)

aafatoN ke darmiyaN
chain kii ghaRii hai tuu
(In troubled times
you are the moment of relief)

merii raat kaa chiraaGh
merii niiNd bhii hai tuu
(The light of my night
you are my sleep too)

maiN KhizaaN kii shaam huuN
rut bahaar kii hai tuu
(I am an autumn evening
You are like the spring)

dostoN ke darmiyaan
vajh-e-dostii hai tuu
(Between friends
You are the reason for friendship)

merii saarii umr meN
aik hii kamii hai tuu
(In my entire life
You are the only paucity)

maiN to vo nahiiN rahaa
haaN magar… vohii hai tuu
(I am not the same
but yes, You are the same)

Salaam Satguru ….

Nitin Ram

3 comments:

Jai-Mohan said...

Dear Nitin

Lajawab. Alekum Assalam.

Jaiguru

Anonymous said...

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha ???
jai guru!!!

Nitin Ram said...

Wah .... _()_ Jai Guru